Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khyal Ata Hai - Sahir Ludhyanvi


Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khyal Ata Hai - Best Urdu Poetry Collection 



Sahir Ludhyanvi






Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khyal Ata Hai

K Jaise Tujh Ko Banaya Gaya Hai Mere Lye



Tu Ab se Pehle Sitaron mein Bas Rahi Thi Kahin

Tujhe Zameen Pe Bulaya Gaya Hai Mere Lye



Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khyal Ata Hai



K Yeh Badalti Nigahain Meri Amanat Hain

Ye Geyso'on Ki Ghani Chao'n Hain Meri Khatir



Ye Hont Aur Banhein Meri Amant Hain

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khyal Ata Hai



K Jaise Bajti Hain Shehnaiya'n si Raho'n Mein

Suhaag Raat hai, Ghoonghat utha raha Hun Mein



Simat Rahi hai tu Sharma K Apni Banho Mein

Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khyal Ata Hai



K Jaise Tu Mujhe Chahegi Umar Bhar Yu'nhi

K Lutaygi meri Taraf Pyar ki Nazar Yu'nhi



Mein Janta hun K Tu Ghair hai Magar Yu'nhi

Kabhi Kabhi Mere Dil mein Khyal Aata Hai

--------------------------------------------


Poet: Sahir Ludhyanvi



Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khyal Ata Hai - Sahir Ludhyanvi Kabhi Kabhi Mere Dil Me Khyal Ata Hai - Sahir Ludhyanvi Reviewed by Aamir Rana on 3:21 PM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.