Badal Gaye Mere Mosam - Farhat Abbas Shah


Poet: Farhat Abbas Shah
Selection from: Awara Mizaaj (by Gul Faraz Ahmed)



Ghazal: Badal Gaye Mere Mosam to Yaar Ab Aye



Published by: Best Urdu Poetry Collection







Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye - Farhat Abbas Shah Poetry



Badal Gaye Mere Mosam To Yaar Ab Aye

Ghamo'n ne Chaat Liya, Gham-Kisar Ab Aye



Ye Waqt Is Tarha Rone Ka To Nhi Lekin

Mein Kya Karu'n K Mere SoGawar Ab Aye



Wo Dhoop Dhoop Hi Mein Hogya Basar Chup Chap

Shajar Shajar Pe Mere Barg-o-Bar Ab Aye



Wo Jin Pe Dhoka Sa Jheela Tha Ham Ne Manzil Ka

Wo Qafilay To Sar-e-RahguZar Ab Aye



Na Dailio'n Pe Koi Phool Hai No HonTo'n Par

Maza To Jab Hai K Bad-e-Bahar Ab Aye


Badal Gaye Mere Mosam - Farhat Abbas Shah Badal Gaye Mere Mosam - Farhat Abbas Shah Reviewed by Aamir Rana on 1:46 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.