Rait se But na Bana - Ahmad Nadeem Qasmi - Best Urdu Poetry Collection


Dasht-e-Tanhai - Amjad Islam Amjad
Urdu Poetry Collection Book by Fakhira Batool



PATTHAR









Rait se But na Bana, Ay mere achay Fankar



Aik Lamhay ko Tehar, Mein tuje Pathar La du!



Mein tere samne Ambar laga donga Lekin



Kon se Rang ka Patthar tere kaam Aiga?



Surkh Patthar, Jisay Dil Kehti hai Be-DIL Dunya



Ya wo Pathrai hui Aankh ka Neela Patthar?



Jis mein Sadiyon k Tah'haur k Paray hon Doray?



Kya Tujhe Rooh k Patthar ki Zaroorat Hogi?



Jis pe Haq Baat bhi Patthar ki Tarha Girti hai



Ik wo Pathar hai Jisay kehte hain Tehzeeb Sufaid



Is k Mar Mar mein Siyah Khoon Jhala Jata hai



Aik Insaaf ka Patthar bhi to hota hai Magar



Hath me Tesha-e-Zar ho to wo Hath ata Hai



Jitne Mayyar hain is Dawr k sab Patthar Hain



Jitne Afkaar hain is Dawr k sab Patthar Hain



Shair bhi Raqs bhi, Tasveer-o-Ghina bhi Pathar



Mera Ilhaam, Tera Zehan Rasa bhi Patthar



Hath Patthar hain Tere, Meri Zubaan Patthar Hai




Rait se But na bana, Ay mere Achay Fankaar...

-----------------------------------------------


Poet: Ahmad Nadeem Qasmi



Rait se But na Bana - Ahmad Nadeem Qasmi - Best Urdu Poetry Collection Rait se But na Bana - Ahmad Nadeem Qasmi - Best Urdu Poetry Collection Reviewed by Aamir Rana on 2:39 PM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.