Teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi







Teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi


tu jo badhaa de haath zaraa duniyaa ke sahaare kuchh bhi nahin





maan liyaa dilkash hain bahut ye raat haseen ye chaand jawaan


baat jo dekhi hai tujh mein nazaaron mein wo baat kahaan





saamne mere tu ho agar duniyaa ke nazaare kuchh bhi nahin


teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi





saath hai mere tu jab tak roshan hain jeewan ki raahen


kyun ho mujhe manzil kaa gham patwaar hain jab teri baahen





maanjhi hai gar tu naiyyaa kaa toofaan ke dhaare kuchh bhi nahin


teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi





baandh liyaa bandhan mein tumhen bas mein kar liyaa bahaaron ko


hai ye wo bandhan jo kar de aazaad ghamon ke maaron ko





pyaar ki tere chhaanv mile to gham ke sharaare kuchh bhi nahin


teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahin. 




Teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi Teri chamakti aankhon ke aage ye sitaare kuchh bhi nahi Reviewed by Aamir Rana on 3:47 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.