Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna




Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna 


Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna 





Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo 


Nazar Say Harf-e-Salam Likhna 





Wo Chand Chehray Wo Behki Batein 


Sulagtay Din Thay Sulagti Ratein 





Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par 


Muhabbaton Kay Payaam Likhna 





Gulab Chehron Say Dil Lagana 


Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana 





Wo Arzuon Kay Khwab Bunna 


Wo Qissa-e-Na Tamaam Likhna 





Mere Nagar Ki Haseen Fizao 


Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao 





To Poochna Ke Kahan Basay Wo 


Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna 





Gayee Ruton Mein Rubab Apna 


Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha 





Kisi Kay Chehray Ko Subah Likhna 


Kisi Kay Chehray Ko Sham Likhna.




Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna Reviewed by Aamir Rana on 3:44 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.