Gham-e-Hayaat se kuchh pal chura ke dekheinge
Iradatan bhi kabhi muskura ke dekheinge
Woh saj sanwar ke abhi muskura ke dekheinge
Qasam ye khaayi hai , bijli gira ke dekheinge
Karaa deiN khud se woh deedar , warna kah deeje
Hum apne haath se Ghunghat hata ke dekheinge
Abhie jo lagte haiN masroof dunyadaari meiN
Zara hi deir mein nazreiN bacha ke dekheinge
Mile ga chaahne wala ? ye jaan'ne ke liye
Woh apne haath meiN Menhdi rachaa ke dekheinge
Samaao , ya na samaao , hamaari baanhoN meiN
Tumhaari baanhoN meiN Hum to samaa ke dekheinge
Na rok paaye ga Deedar - e - yaar se koi
Zamaane bhar ko ,'Hasan', hum dikha ke dekheinge.
Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,
Reviewed by Aamir Rana
on
11:39 PM
Rating:
No comments: