Daur-e-Zindagi Main Na Jaane kaun kahaan Reh Jayega
Waqt Samundar Ki Tarah Hai Sab kuch Isme Beh Jayega
Jo Ro Deta Hai Be-Sabab Sirf Ek Halki Si Chot Par
kal Woh Duniya Bhar Ke Sitam Bhi Has Kar Seh Jayega
Zindagi MeN Koi Bhi Cheez,Humesha Ke Liye Nahi Hoti
Insan Bhi Imarat Ki Tarah Hai,Kabhi Na Kabhi Deh Jayega
Kuch Pal Hassi Ke, Kuch Pal Aankhon Ke Nami Ke
Har Guzarta Hua Pal Apne Hisse Ki Dastaan Keh Jayega
Aaj Jee Raha Hoon To Sabko Meri Zarurat Hai
Par Yaad Rakhna Kal Sirf Tera Naam Hi Baaqi Reh Jayega.
Daur-e-Zindagi Main Na Jaane kaun kahaan Reh Jayega
Reviewed by Aamir Rana
on
11:44 PM
Rating:
No comments: