Agar Bewafaon Ki Alag Duniya Hoti Saahib

4:24 AM
Agar Bewafaon Ki Alag Duniya Hoti Saahib,,


Hamaara Yaar Wahan Ka Baadshah Hota..
Agar Bewafaon Ki Alag Duniya Hoti Saahib Agar Bewafaon Ki Alag Duniya Hoti Saahib Reviewed by Aamir Rana on 4:24 AM Rating: 5

Jab Ly Kar Naam Mera Pukaara Us Ne Sar e Mehfil

4:20 AM
Jab Ly Kar Naam Mera Pukaara Us Ne Sar e Mehfil,,


Ban Ban K Kai Log Mery Ham Naam Nikly.
Jab Ly Kar Naam Mera Pukaara Us Ne Sar e Mehfil Jab Ly Kar Naam Mera Pukaara Us Ne Sar e Mehfil Reviewed by Aamir Rana on 4:20 AM Rating: 5

Arsaa Beeta, Zindagi Beeti, Sab Kuch Beeta Laikin Phir Bhi

4:47 AM
Arsaa Beeta, Zindagi Beeti, Sab Kuch Beeta Laikin Phir Bhi,,



Jo Ishq Mein Beeti Ishq Hi Jaany, Ya Wo Jaany Jis Par Beeti..
Arsaa Beeta, Zindagi Beeti, Sab Kuch Beeta Laikin Phir Bhi Arsaa Beeta, Zindagi Beeti, Sab Kuch Beeta Laikin Phir Bhi Reviewed by Aamir Rana on 4:47 AM Rating: 5

Suna Hai Boht Sasta Hai Khoob Wahaan Ka

4:43 AM
Suna Hai Boht Sasta Hai Khoob Wahaan Ka,,


Ik Basti Jisy Log Kashmeer Kehty Hain..

Suna Hai Boht Sasta Hai Khoob Wahaan Ka Suna Hai Boht Sasta Hai Khoob Wahaan Ka Reviewed by Aamir Rana on 4:43 AM Rating: 5

Azziyat, Musibat, Malaamat, Balaa'in

4:36 AM
Azziyat, Musibat, Malaamat, Balaa'in,,


Tery Ishq Mein Hum Ne Kya Kya Na Dekha..
Azziyat, Musibat, Malaamat, Balaa'in Azziyat, Musibat, Malaamat, Balaa'in Reviewed by Aamir Rana on 4:36 AM Rating: 5

Ik Ishq Ka Gham e Aafat, Aor Us Pe Ye Dil afat

4:29 AM
Ik Ishq Ka Gham e Aafat, Aor Us Pe Ye Dil afat,,


Yaa Gham Na Diya Hota, Ya Dil Na Diya Hota..

Ik Ishq Ka Gham e Aafat, Aor Us Pe Ye Dil afat Ik Ishq Ka Gham e Aafat, Aor Us Pe Ye Dil afat Reviewed by Aamir Rana on 4:29 AM Rating: 5

Itny Anmol Thy K Khareed Na Saka Koi Hum Ko

4:25 AM
Itny Anmol Thy K Khareed Na Saka Koi Hum Ko,,


Hairaan Hon K Tery Haathon Bika To Bika Kaisy..

Itny Anmol Thy K Khareed Na Saka Koi Hum Ko Itny Anmol Thy K Khareed Na Saka Koi Hum Ko Reviewed by Aamir Rana on 4:25 AM Rating: 5

Tasweer e ShahKaar Wo Laakhon Mein Bik Gai

4:22 AM
Tasweer e ShahKaar Wo Laakhon Mein Bik Gai,,


Jis Mein Bagair Roti K Bacha Udaas Tha.. :(
Tasweer e ShahKaar Wo Laakhon Mein Bik Gai Tasweer e ShahKaar Wo Laakhon Mein Bik Gai Reviewed by Aamir Rana on 4:22 AM Rating: 5

Tumhen Aakhir Plat Kar Phir Bhi Mery Paas Aana Hai

4:16 AM
Tumhen Aakhir Plat Kar Phir Bhi Mery Paas Aana Hai,,



K Lehren Ja K Saahil Tak, Samandar Mein Hi Aati Hain..
Tumhen Aakhir Plat Kar Phir Bhi Mery Paas Aana Hai Tumhen Aakhir Plat Kar Phir Bhi Mery Paas Aana Hai Reviewed by Aamir Rana on 4:16 AM Rating: 5

Ishq Qaatil Sy Bhi

4:10 AM

Ishq Qaatil Sy Bhi Ishq Qaatil Sy Bhi Reviewed by Aamir Rana on 4:10 AM Rating: 5
4:08 AM
Mujh Ko Thankny Nhi Deta Zaroorat Ka Pahaar,,



Mery Bachy Mujhe Boorha Nhi Hony Dety.. :(

Reviewed by Aamir Rana on 4:08 AM Rating: 5

Sehn e Ghurbat Mein Qaza Dyr Sy Mat Aaya Kar

4:01 AM
Sehn e Ghurbat Mein Qaza Dyr Sy Mat Aaya Kar,,


Kharch Tadfeen Ka Lag Jaata Hai Beemari Par.. :(
Sehn e Ghurbat Mein Qaza Dyr Sy Mat Aaya Kar Sehn e Ghurbat Mein Qaza Dyr Sy Mat Aaya Kar Reviewed by Aamir Rana on 4:01 AM Rating: 5

Hamary Hissay Mein Kab Khilony, Hamary Hathon Mein Kahan Kitaaben

3:56 AM
Hamary Hissay Mein Kab Khilony, Hamary Hathon Mein Kahan Kitaaben,,



Ameer e Shehr K Nhi Hain Bachy, Hum Ghareeb e Shehr K "Laadly' Hain..
Hamary Hissay Mein Kab Khilony, Hamary Hathon Mein Kahan Kitaaben Hamary Hissay Mein Kab Khilony, Hamary Hathon Mein Kahan Kitaaben Reviewed by Aamir Rana on 3:56 AM Rating: 5

Main Aaam Sa Hamesha

2:55 AM
Main Aaam Sa Hamesha,,



Tu Khaas Sa Musalsal..
Main Aaam Sa Hamesha Main Aaam Sa Hamesha Reviewed by Aamir Rana on 2:55 AM Rating: 5

Hum Hain Majnuu'n K Qabeely Sy Hamen

2:52 AM
Hum Hain Majnuu'n K Qabeely Sy Hamen
Hum Hain Majnuu'n K Qabeely Sy Hamen,,



Waqt Milta To Mohabbat Hi Dobara Karty..
Hum Hain Majnuu'n K Qabeely Sy Hamen Hum Hain Majnuu'n K Qabeely Sy Hamen Reviewed by Aamir Rana on 2:52 AM Rating: 5

Us Ko Mujh Sy Bari M0habbat HaI

2:50 AM
Us Ko Mujh Sy Bari M0habbat Hai,,
.
.
.
Khwaab H0ta Hi Kh0obsurat Hai..

Us Ko Mujh Sy Bari M0habbat HaI Us Ko Mujh Sy Bari M0habbat HaI Reviewed by Aamir Rana on 2:50 AM Rating: 5

Ik tamanna thi jis ki woh khwab tum ho

8:25 AM






Ik tamanna thi jis ki woh khwab tum ho


Hai sitaron ko bhi khabar mera mehtaab tum ho





Youn tau kai chehre mile iss zamane mein


Magar dil ne kaha nigahon ka aftaab tum ho





Dekh kar phoulon ko hota hai ye gumaan


Mast baharon mein khila gulaab tum ho





Dastaan-e-mohabbat ho ya koi afsaana-e-dil


Har bazm-e-yaraan mein mera khitaab tum ho





Likha hai main ne ae dost alfaaz-e-mohabbat


Meri ghazal mere ashaar meri kitaab tum ho.




Ik tamanna thi jis ki woh khwab tum ho  Ik tamanna thi jis ki woh khwab tum ho Reviewed by Aamir Rana on 8:25 AM Rating: 5

Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu Meri Ankhon Me

7:53 AM



Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu Meri Ankhon Me


To Khuda Ki Kasam Hum Muskurana Hi Chod Denge





Tadapte Rahenge Use Dekhne Ko


Magar Uski Taraf Palke Uthana Hi Chod Denge





Wo Manjil Hi Kya Meri Jo Dukh De Us Ko


Khuda Ki Kasam Us Manjil Pe Hum Jana Hi Chod Denge.




Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu Meri Ankhon Me Agar Kush Hai Woh Dekh Kar Ansu Meri Ankhon Me Reviewed by Aamir Rana on 7:53 AM Rating: 5

Har raah ki manzil nhi Par

7:51 AM



Har raah ki manzil nhi Par 


chalna to sabhi ko hai





Har dil ko dilbar ka sath na ho


Par dhadakna to sabhi ko hai





Bhale na ho mulaqat apne pyar se


Intzaar to sabhi ko hai





Koi keh de koi chhipa le


Par kisi na kisi se pyaar to sabhi ko hai.

Har raah ki manzil nhi Par Har raah ki manzil nhi Par Reviewed by Aamir Rana on 7:51 AM Rating: 5

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The

7:50 AM



Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The


Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The





Usi Diye Ne Jala Diya Mere Hatho Ko


Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The.




Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The Reviewed by Aamir Rana on 7:50 AM Rating: 5

Urdu Poetry, Urdu Sms, Urdu Sms Poetry, Urdu Heart Touching Sms, Heart Touching Poetry,

1:31 AM






Uth-Uth Ke Kisi Ka Intzaar Kar Ke Dekhna


Kabhi Tum Bhi Kisi Se Pyaar Kar Ke Dekhna


Kaise Toot Jaate Hai Mohabbat Ke Rishte


Galtiya Kabhi Do-ChaarKar Ke Dekhna


Agar Samjhna Ho Kabhi Jindagi Ka Fasana


To Baarish Me Kacchi Diwaar Bana Ke Dekhna


Nafrat Ho Jayegi Tumko Bhi Is Duniya Se


Mohabbat Kisi Se Beshumaar Kar Ke Dekhna.




Urdu Poetry, Urdu Sms, Urdu Sms Poetry, Urdu Heart Touching Sms, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Sms, Urdu Sms Poetry, Urdu Heart Touching Sms, Heart Touching Poetry, Reviewed by Aamir Rana on 1:31 AM Rating: 5

Tum meri rahna Sada kisi r ko mat apnana

9:51 AM






Tum meri rahna Sada kisi r ko mat apnana


men sirf tmhara hon yeah bat yad rakhna,





Is dunia walon ki baton men mat ana


yeah hamen bht sataen gy bht tarpaen gy,





Par tm bhi apni wafa py qaim rahna


logon ki baton men a kar mjy chor mat jana.

Tum meri rahna Sada kisi r ko mat apnana Tum meri rahna Sada kisi r ko mat apnana Reviewed by Aamir Rana on 9:51 AM Rating: 5

Aapke pyar ki barish mein bhigna chahti hu

7:53 AM



Aapke pyar ki barish mein bhigna chahti hu


aapki baho ki garmi mein pighalana chahti hu





aapke ishq ke gehre sagar mein doob jana chahti hu


aapke pyare chehre pe fida hona chahti hu





aapki mithi baten mere dil ko lubhati hain


bhigi si muskaan aapki mujhe deewana kar jati hai





apke gusse mein bhi pyar chalakta hai


anokhi aapki adaao pe mar mitne ko dil karta hai





bade sajde kiye hai aapko paane ke liye


ab kambhakt jamaane ki najro se aapko chupana chahti hu


bus ab Sirf aapki hi hona chahti hu.

Aapke pyar ki barish mein bhigna chahti hu Aapke pyar ki barish mein bhigna chahti hu Reviewed by Aamir Rana on 7:53 AM Rating: 5

Tarsi hain ye nigahen deedar ko aapke

7:50 AM



Tarsi hain ye nigahen deedar ko aapke


ye dil to dhadakta hai sirf pyar mein aapke





hum agar jeete hain to sirf sahare dosti ke aapke


hum har pal ye kehte hain ki hum to sirf nacheej se dost hai aapke


varna hamara to kya wajud tha jo apne dil mein basaya hai aapne.

Tarsi hain ye nigahen deedar ko aapke Tarsi hain ye nigahen deedar ko aapke Reviewed by Aamir Rana on 7:50 AM Rating: 5

Raat hai andheri or sunsan si

7:48 AM



Raat hai andheri or sunsan si


charo tarf chhayi hai ek virani





khamosh ho kar bhi ye hava kuch hai keh rahi


andhere mein rasta kisi ka jaise dhundti





taare apni roshni se raah hain dekhte


subha ko jane kaha woh gum ho jate


Taare kitne pyare lagte hain sang hamare.




Raat hai andheri or sunsan si Raat hai andheri or sunsan si Reviewed by Aamir Rana on 7:48 AM Rating: 5

Tujhe Yaad Karte Hain Har Sans K Bad

7:44 AM



Tujhe Yaad Karte Hain Har Sans K Bad 


Kabhi Subh Se Pehle Kabi Sham K Bad 





Kabhi Milo To Kuch Karen Batein 


Ek Jam Se Pehle Ek Jam Ke Bad 





Dil Ki Dewaron Pe Tera Nam Likte Hain 


Kabhi Fursat Mein Kabhi Kaam Ke Bad 





Mere Marne K Bad B Log Tujhe Pukarenge 


Kabhi Mere NAAM Se Pehle Kabhi Mere NAAM K Bad.

Tujhe Yaad Karte Hain Har Sans K Bad Tujhe Yaad Karte Hain Har Sans K Bad Reviewed by Aamir Rana on 7:44 AM Rating: 5

Yaad tumhari aati hain

7:42 AM



Yaad tumhari aati hain


par jab khulti hain toh





kyon phir tu samne aati hain 


Aanso tere tapakte hain





to main kyon sisakta hun


jara si tu hasti hain





toh main kyon nikharta hun


Jab bhi dekhta hun tumhe





bas yeh sochta hun


pucho tumse ya tumse kahun


rakhun dil mein ye baat ya keh dun.

Yaad tumhari aati hain Yaad tumhari aati hain Reviewed by Aamir Rana on 7:42 AM Rating: 5

Chand to hai adhura akash mein

7:39 AM



Chand to hai adhura akash mein


sang na hona agar ye sare





dekho to asman mein chamkile phool bikhre huye


lagta hai phoolo mein bhi deep jal rahe





Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai


humare zakhmo ki dava bhi woh hai





woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua


muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai.

Chand to hai adhura akash mein Chand to hai adhura akash mein Reviewed by Aamir Rana on 7:39 AM Rating: 5

Gaye MausaM Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah

7:38 AM



Gaye MausaM Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah


Dil Pe Utrenge Wohi Khwaab Azabon Ki Tarah





Raakh Ke Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai


Jal Chuke Hai Mere KhaiMe, Mere Khwabon Ki Tarah





Wo SaMundar Hai To Phir Reh Ke Shadaab Kare


Tashnagi Kyon Mujhe Deta Hai Sarabon Ki Tarah





Yaad To Hongi Wo Baatein Tujhe Bhi Lekin


Shelf Mein Rakhi Hui Band Kitabon Ki Tarah





Kaun Jaane Ke Naye Saal Mein To Kisko Padhe 


Tera Mayaar Badalta Hai Nisaabon Ki Tarah





Hijr Ki Shab Meri Tanhayi Pe Dastak Degi


Teri Khushbu Mere Khoye Hue Khwabon Ki Tarah.




Gaye MausaM Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah Gaye MausaM Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah Reviewed by Aamir Rana on 7:38 AM Rating: 5

Wo ishq jo hum say rooth gaya ab us ka haal sunaein kia

7:35 AM



Wo ishq jo hum say rooth gaya ab us ka haal sunaein kia 


Koi mehar nahi koi qehar nahi phir sachcha shair sunaein kia 





Aik hijr jo humko lahaq hai tadair usay duhraein kia 


Wo zehar jo dil mein utar gaya phir us ke naaz uthain kia 





Phir aankhain lahoo say khali hain yeh shumain bujhnay wali hai 


Hum khud bhi kisee kay sawali hain is baat pay ab sharmaein kia 





Ek aag gham-e-tanhai ki jo saray badan mein phail gai 


Jub jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaien kia 





Hum naghma sara kuch ghazloon kay hum soorat gar kuch khuwaboon kay 


Be jazba-e-shoq sunaein kia jub khuwab na ho tu bataein kia.




Wo ishq jo hum say rooth gaya ab us ka haal sunaein kia Wo ishq jo hum say rooth gaya ab us ka haal sunaein kia Reviewed by Aamir Rana on 7:35 AM Rating: 5

Rehte hain saath saath main aur meri tanhai

7:34 AM



Rehte hain saath saath main aur meri tanhai


Karte hain raaz ki baat main aur meri tanhai





Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me


Karte hain basar raat main aur meri tanhai





Saanson ka kya bharosa kab chhod jaaye saath


Lekin rahenge saath main aur meri tanhai





Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum


Karte hain tumhe yaad main aur meri tanhai





Aa ke paas kyon door ho gaye hum se


Karte hain teri talash main aur meri tanhai





Tum ko rakhenge saath zeenat bana ke ghar ki


Reh jaayein phir na tanha main aur meri tanhai.




Rehte hain saath saath main aur meri tanhai Rehte hain saath saath main aur meri tanhai Reviewed by Aamir Rana on 7:34 AM Rating: 5

JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO

7:31 AM





JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO


GAYE MAUSMON KA AB HISAAB REHNE DO





KAL AGER BICHAR GAYE TO YAAD DILAYE GA YE


HUMARE SAATH AANSO'ON KA SAILAAB REHNE DO





JO HUMNE KAHI THIN TUMHEN KHAT MEIN KABHI


UN BATON KA JWAB REHNE DO





SAJAO TUM KISI AOR KI DUNIA KHUSHI SE


HUMARI ANKHON KO YONHI BEKHWAB REHNE DO





HUM KANTON K AADI HAIN DOSTO


KISI AOR KO DAY DENA YE GULAAB REHNE DO.

JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO Reviewed by Aamir Rana on 7:31 AM Rating: 5

Vo Bastiyan Bhi Ajab Thi Vo Hastiyan Bhi Ajab

9:18 AM



Vo Bastiyan Bhi Ajab Thi Vo Hastiyan Bhi Ajab 


Keh Andhiyon Main Bhi Jin K Chiraag Jalty Thy





Unhon NE Mujh Se Kaha Tha K Kisi Loo Na Lagana 


Ujar K Soch Raha HOon Vo Log Sachy Thy





Vo Doar Beet Gaya Jab Tere Begair Humain


Tamam Shehar K Rasty Udaas Lagty Thy.




Vo Bastiyan Bhi Ajab Thi Vo Hastiyan Bhi Ajab Vo Bastiyan Bhi Ajab Thi Vo Hastiyan Bhi Ajab Reviewed by Aamir Rana on 9:18 AM Rating: 5

Haqeeqat Jaan Kar Aise Himaqat Kon Karta Hai

9:16 AM



Haqeeqat Jaan Kar Aise Himaqat Kon Karta Hai


Bhala Be-Faiz Logon Se Mohabbat Kon Karta Hai 





Batao Jis Tijarat Mein Khasara Hi Khasara Ho


Bina Sochey Khasaarey Ki Tijarat Kon Karta Hai 





Hamein Hi Ghalt Fehmi Thi Kisi K Wastey Warna


Zamaney K Riwaajon Se Baghawat Kon Karta Hai 





Khuda Ne Sabr Karne Ki Mujhey Taufeeq Bakhshi Hai


Array G Bhar K Tarpaao, Shikayat Kon Karta Hai 





Kisi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaroori Hai


Magr Is Dor Me MOHSIN Ye Zehmat Kon Krta Hai.




Haqeeqat Jaan Kar Aise Himaqat Kon Karta Hai  Haqeeqat Jaan Kar Aise Himaqat Kon Karta Hai Reviewed by Aamir Rana on 9:16 AM Rating: 5

Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain

9:14 AM






Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain


Main to mar kar meri jaan tujhe chahunga





Tu mila hai to ye ehsaas hua hai mujhko


Ye meri umr muhobbat ke liye thodi hai





Tu mila hai to ye ehsaas hua hai mujhko


Ye meri umr muhobbat ke liye thodi hai





Ik zara sa gume doura ka bhi huk hai jis par


Meine wo saans tere liye rakh chodi hai





Tujhpe ho jaun kurbaan tujhe chahunga


Mein to mar meri jaan tujhe chahunga





Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hai


Apne jazbaat mein nagmaat rachane ke liye





Meine dhadkan ki tarah dil mein basaya hai tujhe


Mein tasabbur bhi judaayi ka bhalaa kaise kahun





Meine kismat ki lakiron se churaya hai tujhe


Pyaar ka ban ke nigehbaan tujhe chahunga





Mein to mar meri jaan tujhe chahunga


Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain.

Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain Zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain Reviewed by Aamir Rana on 9:14 AM Rating: 5

Kabhi Kabhi Merey DIL Mein

9:10 AM



Kabhi Kabhi Merey DIL Mein


Kabhi kabhi merey dil mein Khayal aata hai





Ke jaisey tujh ko Banaya gaya hai merey liyey


Toou iss se pehley sitaaron mein bus rahi thi kaheen





Tujhey zameen pe bulaaya gaya hai merey liyey


kabhi kabhi merey dil mein khayal aata hai





ke yeh badan yeh nigaahein meri amaanat hein


yeh gaisoooun ki ghani chaaon hai meri khatir





yeh hont aur yeh baanhein meri amaanut hain


kabhi kabhi merey dil mein kahayal aata hai





Ke jaisey bajti hain shehnaaiyaan si rahon mein


Suhaag raat hai ghoonghat utha raha hoon mein





Simut rahi hai tu sharma ke apni baanhon mein


Kabhi kabhi merey dil mein khayal aata hai





Ke jaisey toou mujhey chahey gee umer bhar yoonhi


Uthey gee meri taraf pyar ki nazar yoonhi





Mein janta hoon ke tu ghair hai magar yoonhin


Kabhi kabhi merey dil mein khayal ata hai Kabhi kabhi.




Kabhi Kabhi Merey DIL Mein Kabhi Kabhi Merey DIL Mein Reviewed by Aamir Rana on 9:10 AM Rating: 5

Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai

9:03 AM



Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai


Hazaar Raaton Me Wo Ik Raat Hoti Hai





Nigah Utha K Wo Dekhein Kabhi Jo Meri Taraf


Wo Hi ik Nigah Meri Kainaat Hoti Hai.




Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai Sukoon Milta Hai Jab Un Se Baat Hoti Hai Reviewed by Aamir Rana on 9:03 AM Rating: 5

Wo anaa Parast sahi us ki baaton me iqrar bhi tha

8:52 AM





Wo anaa Parast sahi us ki baaton me iqrar bhi tha

Us k chubhte howe lehje me chupa pyar bhi tha



Wo mujhe likhta hai k muntazir na Rahun lekin

Us ki Tehreer Me sdiyon ka Intazar Bhi tha



Wo kehta hai Matt Rootho k manana nahi aata

Meri Narazgi per lekin wo Beqarar Bhi tha



Main shayad phir na likhta usy Apni khabar lekin

mohabbat ka bharam rakhna tha

or kuch dil be ikhtiyar Bhi Tha.





Wo anaa Parast sahi us ki baaton me iqrar bhi tha Wo anaa Parast sahi us ki baaton me iqrar bhi tha Reviewed by Aamir Rana on 8:52 AM Rating: 5

Hai apnaa dil to aawaaraa naa jaane kis pe aayegaa

8:46 AM



Hai apnaa dil to aawaaraa naa jaane kis pe aayegaa


haseenon ne bulaayaa gale se bhee lagaayaa





bahot samazaayaa yahee naa samazaa


bahot bholaa hain bechaaraa naa jaane kis pe aayegaa





ajab hain diwaanaa naa dar naa thhikaanaa


jameen se begaanaa falak se judaa





ye yek tootaa huaa taaraa naa jaane kis pe aayegaa


jamaanaa dekhaa saaraa hain sab kaa sahaaraa





ye dil hee humaaraa huaa naa kisee kaa


safar mein hain ye banjaaraa naa jaane kis pe aayegaa





huaa jo kabhee raajee to milaa naheen kaajee


jahaa pe lagee baazee wahee pe haaraa 


ye yek tootaa huaa taaraa naa jaane kis pe aayegaa.

Hai apnaa dil to aawaaraa naa jaane kis pe aayegaa Hai apnaa dil to aawaaraa naa jaane kis pe aayegaa Reviewed by Aamir Rana on 8:46 AM Rating: 5

Kis ko qaatil main kahoon kisko maseehaa samajhoon

8:35 AM









Kis ko qaatil main kahoon kisko maseehaa samajhoon


sab yahaan dost hee baithe hain kise kya samajhoon





wo bhi kya din the ke har vaham yakeen hota tha


ab haqeeqat nazar aaye to use kya samajhoon





dil jo toota to kai haath duaa ko utthe


aise mahaul mein ab kis'ko paraayaa samajhoon





zulm ye hai ke hai yaqtaa teri begAnaaravee


lutf ye hai ke main ab tak tujhe apana samajhoon.










Kis ko qaatil main kahoon kisko maseehaa samajhoon Kis ko qaatil main kahoon kisko maseehaa samajhoon Reviewed by Aamir Rana on 8:35 AM Rating: 5

Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi

8:28 AM



Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi


Yeh Dard Tum Ne Diya Ha To Koi Baat Nahi





Yehi Bohot Ha K Tum Dekhte Ho Sahil Se


Safeena Doob Raha Ha To Koi Baat Nahi





Rakha Tha Aashiyana-E-Dil Mai Chupa K Tumko


Woh Ghar Tumne Chor Diya Ha To Koi Baat Nahi





Tum Hi Ne Aaina-E-Dil Mera Banaya Tha


Tum Hi Ne Tor Diya Ha To Koi Baat Nahi





Kise Majaal Kahe Koi Mujh Ko Deewana


Agar Yeh Tumne Kaha Ha To Koi Baat Nahi.




Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi Yehi Wafa Ka Silaah Ha To Koi Baat Nahi Reviewed by Aamir Rana on 8:28 AM Rating: 5

Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain

8:23 AM



Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain


dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain





tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai


barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain





ab to chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai


halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain





ab to ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai


din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain





zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say


apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain.

Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain Reviewed by Aamir Rana on 8:23 AM Rating: 5

Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon

8:20 AM



Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon


Tujh Se Agay Ka Safar Dekh K Dar Jata Hoon





Roz Dhalte Huye Sooraj Ki Tarha Shaam Gaye


Main Bhi ek Dard K Darya Main Utar Jata Hoon





Wo Bhi Chup Chup Si Kahin Baith K Roti Ho Gi


Main Bhi Raton Ko Zaraa Dair Se Ghar Jata Hoon





Main Ne Bhi Jurm-e-Baghawat K Sitam Jhailey Hain


Main Bhi Ab Log Jidhar Jayen Udhar Jata Hoon





Chal Para Hoon Main Zamane K Asoolon Pe 


Main Bhi Ab Apni Baton Se Mukar Jata Hoon.




Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon Wussat-e-Dasht-e-Hijr Dekh K Dar Jata Hoon Reviewed by Aamir Rana on 8:20 AM Rating: 5

Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hae

8:18 AM



Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hae


Ik Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hae





Uss Ki Batain Mujhe Khushbu Ki Tarah Lagti Hain


Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae





Mere Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae


Woh Har Ik Shakhs Ko Daanista Khafa Karta Hae





Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi


Baat Itni Hae Kay Woh Mujh Se Jafa Karta Hae





Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi


Wo Bahaaron Main Zara Kam Mila Karta Hae.

Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hae Jab Tera Dard Mere Saath Wafa Karta Hae Reviewed by Aamir Rana on 8:18 AM Rating: 5

Ye fakhar to haasil hai k bure hain k bhale hain

8:15 AM



Ye fakhar to haasil hai k bure hain k bhale hain


do char qadam ham bhi tere saath chale hain





jalna to chiraghon ka muqaddar hai azal se


ye dil k kanwal hain k bujhe hain na jale hain





they kitne sitaare k sar-e-shaam hi doobe


hangaam-e-seher kitne hi khurdheed dhale hain





jo jheil gay hans k kari dhoop k tewar


taroon ki khunk chhaaon main wo log jale hain





aik shama bujhayee to kai or jala li 


ham gardish-e-doran sey bari chaal chale hain.




Ye fakhar to haasil hai k bure hain k bhale hain Ye fakhar to haasil hai k bure hain k bhale hain Reviewed by Aamir Rana on 8:15 AM Rating: 5

Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai

8:07 AM



Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai


ham ko har lamha khush rehne ki aadat si ho gai





pukaara hai tujh ko har morr par zindagi ke


tujh ko paane ki aarzoo mein shiddat si ho gai





teri aaankhoon mein vo nasha hai ke kya kahoon 


bin piye behak jaane ki aadat si ho gai





rehte the har lamha udaas har pal bechain ham


aane se tere hamain musarrat si ho gai





teri mann-mohni si soorat khuda ka karishma hai


na dekh paaon gar jisse to qayaamat si ho gai





tumhaare paikar ko dekhta hoon chaudhvin raaton mein


haseen rukh-e-roshan chaand ki soorat si ho gai





soocha na tha kabhi ishq bhi karoon ga 


ab mohabbat se mujhe bari mohabbat si ho gai.

Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai Dekha tujh ko to pyaar ki chaahat si ho gai Reviewed by Aamir Rana on 8:07 AM Rating: 5

Ghum Sum Howa Aawaz Ka Darya Tha Wo Ik Shakhs

8:05 AM



Ghum Sum Howa Aawaz Ka Darya Tha Wo Ik Shakhs


Pathar Bhi Naheen Ab Wo Sitara Tha Jo Ik Shakhs





Shayd Wo Bhi Koi Harf-E-Wafa Dhoond Raha Tha


Chehroon Ko Baray Ghor Se Parta The Wo Ik Shaks





Sehra Kee Tarah Dair Se Piyasa Tha Wo Shayd


Badal Kee Tarah Toot Key Barsa Tha Wo Ik Shakhs





Ay Taiz Hawa Koi Khabar Us Key Janoon Kee


Tanha Safr-E-Shouq Pe Nikla Tha Jo Ik Shakhs





Ab Akhree Sitroon Main Kaheen Naam Hai Us Ka


Ahbaba Kee Feh-Rist Main Pehla Tha Jo Ik Shakhs





Hathoon Main Chhupay Hoay Phirta Hai Kai Zakham


Sheeshay Key Khilonon Se Behilta Tha Jo Ik Shakhs





Mur Mur Key Isay Dekhna Chahain Meri Akhain


Kuchh Door Mujay Chhornay Aaya Tha Jo Ik Shakhs





Har Zehn Main Kuchh Naqsh-E-Wafa Chhor Ghia Hai


Kehnay Ko Bharay Shehr Main Tanha Tha Jo Ik Shakhs





Munkar Hai Wohee Ab Meri Pehchan Ka Faysal


Aksar Mujay Khat Khoon Se Likhta Tha Jo Ik Shakhs.

Ghum Sum Howa Aawaz Ka Darya Tha Wo Ik Shakhs Ghum Sum Howa Aawaz Ka Darya Tha Wo Ik Shakhs Reviewed by Aamir Rana on 8:05 AM Rating: 5

Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo

8:03 AM



Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo


buhat kara he safar thori door saath chalo





tamaam umr kahan saath deta hai


ye jaanta hoon magar thori door saath chalo





nashe main choor hoon main b tumhain bhi hosh nhi


bara maza ho agar thori door saath chalo





ye aik shab ki mulaqaat bhi ghanimat hai


kise hai kal ki khabar thori door saath chalo





abhi to door hain chirag raahon k


abhi hai door sehar thori door saath chalo





tawaaf-e-manzil-e-janaan hamain bhi karna hai


Faraz tum bhi agar thori door saath chalo.




Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo Kathan hai rah-guzar thori door saath chalo Reviewed by Aamir Rana on 8:03 AM Rating: 5

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

7:57 AM



Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo 


Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo 





Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy 


Anjam ka ho khatraaghaz badal dalo 





Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye 


Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo 





Dushman k iradon ko hy zahir agar karna 


Tum khelwohi khelo andaz badal dalo 





Ay dost karo himat kuch door sawera hy 


Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.




Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo Reviewed by Aamir Rana on 7:57 AM Rating: 5

Kahan dil chor aye ho

10:52 PM



Kahan dil chor aye ho


bohut chup chap se rehtay ho





Na bante ho na sanwarte ho


na koi bat karta ho





Bhari mehfil main bhi aksar


hamesha khoay rehtay ho





Udasi aankho main le kay


her ek chehre ko takte ho





Koi jab yaad aata hai to


Thundi aah bharte ho





To khul kar kion nahin kehtay


Kisi se pyar kertay ho.




Kahan dil chor aye ho Kahan dil chor aye ho Reviewed by Aamir Rana on 10:52 PM Rating: 5
ads 728x90 B
Powered by Blogger.