Rehte hain saath saath main aur meri tanhai




Rehte hain saath saath main aur meri tanhai


Karte hain raaz ki baat main aur meri tanhai





Din to guzar hi jata hai logon ki bheed me


Karte hain basar raat main aur meri tanhai





Saanson ka kya bharosa kab chhod jaaye saath


Lekin rahenge saath main aur meri tanhai





Aaye na tumhe yaad kabhi bhul kar bhi hum


Karte hain tumhe yaad main aur meri tanhai





Aa ke paas kyon door ho gaye hum se


Karte hain teri talash main aur meri tanhai





Tum ko rakhenge saath zeenat bana ke ghar ki


Reh jaayein phir na tanha main aur meri tanhai.




Rehte hain saath saath main aur meri tanhai Rehte hain saath saath main aur meri tanhai Reviewed by Aamir Rana on 7:34 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.