Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain




Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain


dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain





tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai


barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain





ab to chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai


halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain





ab to ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai


din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain





zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say


apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain.

Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain Tum kya jano yaadon main kho kar ankhain kitna roti hain Reviewed by Aamir Rana on 8:23 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.