Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain




Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain


tre aankhon ko parhta hon to aankhain bheeg jati hain





tumhara nam likhnay ke ijazat chin gai jub say


koi bhe lafz likhta hon to aankhain bheeg jati hain





tery yadon ke khushbo khirkyun may raqs karti hay


teray ghum may sulagta hon to aankhain bheeg jati hain





may huns kar jhail leta hon judai ke subhi rusmain


gulay jub us k lagta hon to aankhain bheeg jati hain





na janay ho gya hon isqadar hassa may kub say


kisi say bat karta hon to aankhain bheeg jati hain





wo sub guzray huay lumhat kujh ko yaad aatay hain


tumharay khut jo parhta hon to aankhain bheeg jati hain





may sara din bohot musroof rehta hon megar junhi


qudam chokhat pay rakhta hon to aankhain bheeg jati hain





her ik muflis k mathay pay alum ke dastanain hain


koi chehra bhe parhta hon to aankhain bheeg jati hain





bray logon k oonchay budnuma aur sard mehlon ko


ghareeb aankhon say takta hon to aankhain bheeg jati hain





teray koochay say ab mera tauluq wajbi sa hay


mugar jub bhe guzarta hon to aankhain bheeg jati hain





huzaron moosmoon ke hukmrani hay meray dil per


"wasi" may jub bhe hunsta hon to aankhain bheeg jati hain.




Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain Samundar may utarta hon to aankhain bheeg jati hain Reviewed by Aamir Rana on 3:41 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.