Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa




Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa


jaise betaab dil ko qaraar aa gayaa





aarzoon ke gul muskuraane lagay


jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gayaa





tashna nazrein milin shoKh nazaron se jab


mai barasane lagi jaam bharane lagaa





saaqiyaa aaj teri zaroorat nahin


bin piye bin pilaaye Khumaar aa gayaa





raat soney lagi subah honey lagi


shammaa bujhane lagi dil machalane lage





waqt ki raushani mein nahaai huyi


zindagi pe ajab saa nikhaar aa gayaa





har taraf mastiyaan har taraf dil kashi


muskuraate dilon mein Khushi hi Khushi





kitna chaahaa magar phir bhi uth na sakaa


teri mahafil mein jo ek baar aa gayaa.







Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa Baad muddat unhein dekh kar youn lagaa Reviewed by Aamir Rana on 4:01 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.