Us simt nazar ka koi mauqa b na rakha
Dewaar to chun li daricha b na rakha
Hm teri lagan mein they bari door nikal aye
Aur lautny wala koi rasta b na rakha
Aaghaz-e-safar khauf tha pr ishq ne dil mein
Is rah mein lut jany ka khadsha b na rakha
Ab khushk hain sehra ki tarha jheel si aankhen
Kya gham ne tery qabil-e-girya b na rakha
Ik dard sa baqi tha mgr zabt ki had se
Is dil ne wo mauhoom sa rishta b na rakha
Dil yad b krta to kahan dhoundhny jata
Aankhon ne to mehfoz wo naqsha b na rakha
Khud bhoul gya de k hukam-e-musafat
Aur rah mein dum leny ka mauqa b na rakha
Souraj ke sitam sehty they jis perr ki khatir
Us ne to hmary liye saya b na rakha
Kuch dast-e-ata itna kushada b nhi tha
Kuch mangny walon ne saliqa b na rakha.
Us simt nazar ka koi mauqa b na rakha
Reviewed by Aamir Rana
on
7:42 AM
Rating:
No comments: