Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain




Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain


Fareb-e-zindagi ki aag mein insaan jalate hain





Dilon mein azmat-e-tauheed ke deepak afsurda hain


Jabinon par riya-o-kubr ke saman jalate hain





Hawas ki bar-yabi hai Khirad-mandon ki mahafil mein


Rupehli tikliyon ki oot mein eman jalate hain





Hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai


Suna hai nakhuda ke naam se toofaan jalate hain





Shagoofe jhoolate hain is chaman mein bhook ke jhoole


Baharon mein nasheman to bahar-e-unwaan jalate hain





Kahin pazeb ki chan-chan mein majboori tarapti hai


Riya dam tod deti hai sunehre daan jalate hain





Manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-may khana


Ibadat se to Sagar dahar ke shaitaan jalate hain.




Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain Teri duniya mein ya RUB zeest ke saman jalate hain Reviewed by Aamir Rana on 1:30 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.