Qatal gahain basany waly hain





Qatal gahain basany waly hain


hum janazy uthany waly hain





Hum pe kya kya qayamaten dhaien


jab suna muskurane waly hain





Ye suna hai k ab naye dhab se


woh humain aazmane waly hain





Maine bachon se keh diya kal shab


imtehan or aane waly hain





Jane kese chalak pari aankhain


hum to gham ko chupane waly hain





Aankhon aankhon main keh gaye hum bhi


hum kahan baaz aane waly hain





Woh tou khud hi bhatak rahy hain Aks


rasta hum dikhane waly hain.




Qatal gahain basany waly hain Qatal gahain basany waly hain Reviewed by Aamir Rana on 10:40 PM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.