Aey nigahe sheesha gar ye kya tamasha ho gaya





Aey nigahe sheesha gar ye kya tamasha ho gaya


Aaina ruswaiyon k dar se dhundhla ho gaya





sajda rezi hi agr hai bais-E-izat-O-sharf


Phir tou har insan se afzal Farishta ho gaya





Aakhrish nikla ye anjam-E-talash-E-rozgar


ibn-E-Adam waqt se pehle hi burha ho gaya





Dafatan uss se bichar k mujhko ye andaza hua


jo musalsal dekhta tha khuwab poora ho gaya





Waqt se pehle parinde aashiyan mn aa gaye


 shaam se pehle hi sara shehr soona ho gaya





Jab dikhaye usne mujhko mere asli khadokhal


aaina hathon se gir kar reza reza ho gaya





Qataa kar deti hai Aks saare rishte muflisi


doston ka dushmano jesa ravaiya ho gaya.

Aey nigahe sheesha gar ye kya tamasha ho gaya Aey nigahe sheesha gar ye kya tamasha ho gaya Reviewed by Aamir Rana on 10:56 PM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.