Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse


Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse

Bazm-E-Shahi Mein Gareebon Ka Guzar, Kya Maani?
Sabt Jis Raah Pe Ho Satavat-E-Shaahi Ke Nishaan
Uss Pe Ulfat Bhari Rooho Ka Safar Kya Maani?

Mery Mehboob Pas-E-Parde-E-Tash Heer-E-Wafa
Toone Satavet Ke Nishano Ko Too Dekha Hota
Murda Shahon Ke Maqabir Se Behalne Waaly
Apne Taarek Makanon Ko Too Dekha Hota

Anginat Logon Ne Duniya Mein Mohabbat Ki Hai
Kaun Kehta Hai Ke Sadiq Na They Jazbe Unke
Lekin Unke Liye Tash Heer Ka Samaan Nahin
Kyon K Woh Log Bhi Apni Hi Tarah Muflis They

Yeh Imarat-O-Maqabir, Yeh Faseele, Yeh Hisaar
Mutal-Kul-Hukm Shehenshahon Ki Azmat Ke Sutoon
Daaman-E-Dehar Pe Us Rang Ki Gulkari Hai
Jisme Shaamil Hai Tere Aur Mere Ajdaad Ka Khoon

Mery Mehboob! Unhe Bhi Too Mohabbat Hogi
Jinki Sannai Ne Baqshi Hai Isse Shakl-E-Jameel
Unke Pyarron Ke Maqabir Rahe Be-Naam-O-Namood
Aaj Tak Un Pe Jalai Na Kisi Ne Kindeel

Yeh Chamanzaar, Yeh Jamna Ka Kinara, Yeh Mahal
Yeh Munakkash Dar-O-Deewar, Yeh Mehraab, Yeh Taaq
Eik Shehenshah Ne Daulat Ka Sahara Lekar
Hum Ghareebon Ke Mohabbat Ka Udaya Hai Mazak

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse.

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse Reviewed by Aamir Rana on 4:58 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.