Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi



Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi
Nigah-e-ahl-e-jahan mein haqeer hoon mein bhi

Agar too haqa-e-shaam-o-sahar mein qaid raha
To zindgi kay qafas mein aseer hoon mein bhi

Meray wujood mein jalti iss aag parr matt jaa
Agar too door rahay,zemhareer hoon mein bhi

Teray wujood say munkir jahan mein thi, main hi
Teri nigaah ki abb to aseer hoon main bhi

Meray li'ay bhi rahain abb faza'ein chashm baraah
Saba kay sath khizan ki safeer hoon main bhi

Wafa to sath nibhanay ka ik bahana hai
Riwaj ki teri soorat,aseer hoon main bhi

Main sirf jism nahin, aik zinda rooh bhi hoon
Khuda kay baad,samee-o-baseer hoon main bhi.

Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi  Kisi kay husn-e-nazar ki nazeer hoon main bhi Reviewed by Aamir Rana on 4:52 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.