Faraz Poetry, Ahmed Faraz, Ahemd Faraz Poetry, Urdu Poetry By Ahmed Faraz, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,
Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhane Wala
Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala
Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala
Kia Kahein Kitne Marasim The Hamare Is se
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Phair Ke Jane Wala
Tere Hote Howay Aa Jaati Thi Saari Duniya
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala
Muntazir Kis Ka Hon Tooti Hoi Dehleez Pe Main
Kon Aay Ga Yahan Kon Hai Aane Wala
Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte
Hai Koi Khwaab Ki Tabeer Batane Wala
Kia Khabar Thi Jo Meri Jan Mein Ghula Hai Itna
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Dar Bhi Laane Wala
Tum Takaluf Ko Bhi Ikhlas Samajhte Ho Faraz
Dost Hota Nahi Har Hath Milane Wala.
Faraz Poetry, Ahmed Faraz, Ahemd Faraz Poetry, Urdu Poetry By Ahmed Faraz, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,
Reviewed by Aamir Rana
on
7:23 AM
Rating:
No comments: