Ek Nazar dekh leay agar tu to karishma kar de
Murdon k jism mein bhi jaan si rawaa kar de
ise qadar narmiyon se tarabtaar hai husn tera
Shabnam bhi agr chooyea tu taubaa kar de
Kaise bayaan karoo mein tere husn k Jamal ko
Jo chand ki roshni ko bhi dheema kar de
Hum ne tere DIL ki taabandgi ko dekha hai
Jo nafrat k andheron mein roshni paida kar de
Tu Masiha hai bator-e-Maujeeja husn-o-jamal ka
Tera HaBib tere husn ka Sajda Kar de.
Ek Nazar dekh leay agar tu to karishma kar de, Urdu Poetry, Urdu Ghazal,
Reviewed by Aamir Rana
on
10:35 PM
Rating:
No comments: