Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun




Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun


jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun





na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun


jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun





mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya


jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun





paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun


koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun





main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya


main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun.







Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun Na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun Reviewed by Aamir Rana on 7:59 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.