Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi, Urdu Poetry By Ahemd Faraz, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry, Faraz Best Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz, Urud Ghazal, Heart Touching Urud Ghazal,







Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi
Hum Ne Aadaab Kaha Aur ijazat Chahi
Yuon Hi Bekaar Mein Kab Tak Behta Rehta
Us Ko Fursat Jo Na Thi Hum Ne Rukhsat Chahi
Sekwa Naqadri-E-Dunia Ka Karen Kia K Humein
Kuch Ziada Hi Mili Jetni Muhabbat Chahi
Raat Jab Jama Thay Dukh Dil Mein zamane Bhar K
Aankh Chhapka K Gham Yaar Ne Khalwat Chahi
Hum Jo Pamaal-E-Zamana Hain To Herat Kion Hai
Hum Ne Aaba K Hawale Se Fazeelat Chahi
Mein To Le Aaya Wohi Pairahan-E-Chak Apna
Us Ne Jab Khalat-O-Dastaar Ki Qeemat Chahi
Husan Ka Apna Hi Shaiwa Tha Taaluk Mein FARAZ
ishq Ne Apne Hi Andaaz Ki Chahat Chahi.

Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi, Urdu Poetry By Ahemd Faraz, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry, Faraz Best Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz, Urud Ghazal, Heart Touching Urud Ghazal, Us Ne Jab Chane Walon Se Ata'at Chahi, Urdu Poetry By Ahemd Faraz, Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry, Faraz Best Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Urdu Ghazal By Ahmed Faraz, Urud Ghazal, Heart Touching Urud Ghazal, Reviewed by Aamir Rana on 7:27 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.