Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,


Gham-e-Hayaat se kuchh pal chura ke dekheinge
Iradatan bhi kabhi muskura ke dekheinge

Woh saj sanwar ke abhi muskura ke dekheinge
Qasam ye khaayi hai , bijli gira ke dekheinge

Karaa deiN khud se woh deedar , warna kah deeje
Hum apne haath se Ghunghat hata ke dekheinge

Abhie jo lagte haiN masroof dunyadaari meiN
Zara hi deir mein nazreiN bacha ke dekheinge

Mile ga chaahne wala ?  ye jaan'ne ke liye
Woh apne haath meiN Menhdi rachaa ke dekheinge

Samaao , ya na samaao , hamaari baanhoN meiN
Tumhaari baanhoN meiN Hum to samaa ke dekheinge

Na rok paaye ga Deedar - e - yaar se koi
Zamaane bhar ko ,'Hasan', hum dikha ke dekheinge.

Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry, Reviewed by Aamir Rana on 11:39 PM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.