Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhs







Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhs
Meri mohabbaton se shanaasa tha aik shaks,

Aankhon ko us ke baad sujhayi nahin diya
Aayiney bant’ta hua guzra tha aik shakhs,

Kal phir nazar bacha ke guzarna para humain
Kal phir hamari raah main betha tha aik shakhs,

Ik ranj-o-gham ki bheerr muqabil khari thi aur
Hungaama-e-hayaat mein tanha tha aik shakhs,

Mujh ko bhi dushmanon ki zaroorat thi sheher mein
Mujh ko bhi apni jaan se pyara tha aik shakhs,

Tark-e-taluqaat pe naadim* na tha magar
Rukhssat hua to toot ke roya tha aik shakhs,

Ansar woh khawb tha ya haqeeqat khabar nahin
Bass itna yaad hai kahin dekha tha aik shakhs.

Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhs Agli gali ke morr pe rehta tha aik shakhs Reviewed by Aamir Rana on 10:07 AM Rating: 5

No comments:

ads 728x90 B
Powered by Blogger.